Aaj jaanay ki zid na karo
Youn hi pehlu main baithay raho
Haye mar jayein gay , hum to lut jayein gay
Aisi baatain kiya na karo
Tum hi socho zara kiyon na rokain tumhain
Jaan jaati hai jab uth kay jaatay ho tum
Tum ko apni qasam jaan-e-jaan
Baat itni meri maan lo
Waqat ki qaid main zindagi hai magar
Chand ghariyaan yahi hain jo azad hain
In ko kho kar abhi jaan-e-jaan
Umar bhar na tarastay raho
Kitna mousam rangeen hai yeh samaa
Husn aur ishq ki aaj miraaj hai
Kal ki kis ko khaabar jaan-e-jaan
Rok lo aaj ki raat ko
Gaisu'on ki shikan hai abhi shabnami
Aur palkon kay saaye bhi madhosh hain
Husan-e-mousam ko jaan-e-jaan
Be'khudi main na ruswa karo
No comments:
Post a Comment