Safar tanha nahin kartay
Suno, aisa nahin kartay
Jissay shafaaf rakhna ho
Ussay maila nahin kartay
Teri aankhain ijaazat dain
To hum kiya kiya nahin kartay
Bhout ujrray huye ghar par
Bhout socha nahin kartay
Safar jis ka muqadar ho
Ussay roka nahin kartay
Jo mil kay khud se kho jaye
Ussay ruswa nahin kartay
Chalo tum raaz hho apna
Tumhain afshaa nahin kartay
Yeh oonchay pairr kaisay hain
Kahin saaya nahin kartay
Jo dhun ho , kar guzarnay ki
To phir socha nahin kartay
Kabhi hansanay se dartay nahin
Kabhi roya nahin kartay
Teri aankhon ko parhtay hain
Tujhay dekha nahin kartay
Sehar se pooch lo Mohsin
Keh hum soya nahin kartay
No comments:
Post a Comment