Dec 16, 2014

Ab agar aur staayo gay to mar jaaon gi


Aisay tooti hoon keh choonay se bikhar jaaon gi 
Ab agar aur staayo gay to mar jaaon gi 

Jo sitam karna hai kar leejiye hum par jaana 
Gham ki baarish main to kuch aur nikhar jaaon gi 

Kitnay dhokay hain keh khud pe yaqeen jaata raha 
Aisa lagat hai keh sach se mukar jaaon gi 

Yeh alag baat keh na'kaam mohabbat hoon magar 
Tum sanwaaro gay jo mujh ko , to sanwar jaaon gi 

Ab mohabbat ki zaroorat hai na jeenay main maza 
Mujh ko jeenay ki dua do gay to mar jaaon gi 

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...