Haathon main ik jaam bari dair tak raha
Is khwaab main qiyaam bari dair tak raha
Yaadon ka azdo haam bari dair tak raha
Tanhaiyon se kaam bari dair tak raha
Us ne suna nahin to mera kiya qasoor hai
Honton pe us ka naam bari dair tak raha
Nazrain bhi us kay hussan ka gaati rahi hain geet
Dil us se ham'kalaam bari dair tak raha
Tanhai main bhi wasal ki lazzat hui naseeb
Woh mujh se hum'kalaam bari dair tak raha
Yeh be'tawajhi ussay khud sar bana gayi
Dil aap ka ghulaam bari dair tak raha
Woh mujh ko chahta hai yeh sach to nahin "Faseeh"
Par yeh khyaal-e-khaam bari dair tak raha
No comments:
Post a Comment