Dec 18, 2014

Ae dost zindagi main aisay pal bhi ayein hain


Ae dost zindagi main aisay pal bhi ayein hain
Hum ne laal-o-gohar aur yaqoot bhi tukhraye hain

Us ki khushi ki khatar gun'gunaana aadat bani
Museebaton kay toofaan main bhi hum muskuraye hain

Raaton ko kisi kay sang hum ne ik lamhay main bita diya
Apnay hi ghar main kai baar hum chor ban kar aye hain

Siwa us kay pal kaatna bari baat hoti thi
Khuda ne hum ko hijar kay so baras bhi dikahye hain

Hamain udaas dekh kar aksar woh rooth jaata tha
Aaj usi dilbar ne ashkon kay samandar rulaye hain

Tishna ussay chahtay rehna sochon to na'daani hai
Magar kiya karon jitna bhulaya utna woh yaad aye hain 

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...