Dec 14, 2014

Aiyaan ho kar bhi hijaabon main rahay


 Aiyaan ho kar bhi hijaabon main rahay

Zubaan thi magar be'zubaano main rahay

Ajab asool hain ehal-e-dard kay yahaan

Zakham kha kar bhi muskurahaton main rahay

Dhoondnay walay sagar ki teh se motti nikaal laye

Khouf-e-Aab is qadar ghalib tha keh hum kinaaron main rahay

Do gaam chaltay to kamraani qadam choom leti

Kuch log mehav-e-khwaab thay so khwaabon main rahay

Taaj-o-takht qadmon main paray muntazir thay aik nazar-e-inaayat kay

Hum sadaa kay darwaish thay so faqeeron main rahay

Log to gunnah bhi sajaatay hain seeno pe tamghon ki tarah

Hum se hui lamhay ki lagzish to barson sazaon main rahay

Fursat milti to mitta letay Tehreer-e-hijar , loh-e-taqdeer se

Aalam-e-be'khudi main bas guzray chand anmol lamhon ki yaadon main rahay

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...