Dec 14, 2014

Baagh-e-mohabbat main aaj bhi wafa roti hai


 Baagh-e-mohabbat main aaj bhi wafa roti hai

Ab raat pehlay se barh kar siyaah hoti hai

Yeh raat kay snaatay main kaisi siskiyaan sunayi deti hain

Lagta hai takiye pe sar rakh kar koi zubaan be'sada roti hai

Chalo aankh moond kar so jaatay hain us kay saya-e-zulf main

Suna hai neend wahaan orh kar haseen rida soti hai

Bin piyea hi madhoshi chayi rehti hai aksar

Jab bhi us kay shaher se aa kar baad-e-saba chooti hai

Us kay chehray ka rang badal jaata hai yak'dam

Sar-e-mehfil jab bhi majrooh us ki ana hoti hai

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...