Rishtay
Apna'yat ke hon ya khloos ke, itney hi nazak hotay hain jitney abgeenay keh
zara si thais lagi aur toot gaye
Phool
Phoolon se mohabbat karney wale kiya mard kiya aur'tain aam tor par mamooli
shakl-o-surat ke hotay hain woh phoolon ki kushboo se un ki rangat se ya un ki
gha'rat se piyaar nahin kartay un ke honey se piyaar kartay hain
Samjoh'ta
Samjho'tay main zabardasti ka ansar hota hai , Maan laney ki kafiyat nahin hoti
sab kuch jantay huay samjhta karna bara karb'naak hai, Magar ma'nanay kay
liye ja'nanazaroori nahin hota
Mousam
Shid'daton ke mousam main bheeg'ny ke baad insaan ke mizaaj main ya to
khizaan ki zard be-rangi cha jati hai ya talkhi'yon ki seaya'hi mizaaj ko
wehshat-zada kar dati hai
Qareeb
Qareeb rehney wale zaroori nahin keh dil ke bhi qareeb hon
La-Hasil
La-hasil mohabtain aur la-hasil khidma'tain zindagi ka rog ban jati hain
Zaroori to nahin
Yeh zaroori to nahin keh hum mohabbat ko parindon ki tarah pinjroan main
qaid kar ke rakh'ain , rehna ho ga to parwaaz ke ba-wajood kahien nahin jayein
ge aur agar nahin chah'yain ge to pinjaray bhi kamzor sabit hon ge
Izhaar-E-Mohabbat
Mohabbat ka izhaar zaroori hota hai ,rishton ko mazboot karney .bana'ny kay
liye unhain mutma'en karny kay liye .chah'ye woh izhaar lafzon se ho ya amal se
Mohabbat izhaar na bany to mehboob ki amanat ban jata hai
No comments:
Post a Comment