Bhout pehlay se in qadmon ki aahat jaan letay hain
Tujhay ae zindagi hum door se pehchaan letay hain
Meri nazrain bhi aisay qaatlon ka jaan-o-emaan hain
Nigahain miltay hi jo jaan aur emaan letay hain
Tabiyat apni ghabraati hai jab sunsaan raaton main
Hum aisay main teri yaadon ki chadar aan letay hain
Khud apna faisala bhi ishq main kaafi nahin hota
issay bhi kaisay kar guzrain jo dil main thaan letay hain
Jissay surat bataatay hain pata deti hai seerat ka
Ibaarat dekh kar jis tarah mahni jaan letay hain
Tujhay ghaata na honay dain gay kar-o-baar-e-ulfat main
Hum apnay sar tera , ae dost her ehsaan letay hain
Firaaq aksar badal kar bhais milta hai koi kaafir
Kabhi hum jaan letay hain kabhi pehchaan letay hain
No comments:
Post a Comment