Aariza laahaq hua hai aariz-e-gulfaam se
Bas usi ki soch main baithi hain tanha shaam se
Ishq ki baatain kiye jaatay ho khaas-o-aam se
Dar nahin lagta tumhain mansoor kay anjaam se
Shaher bhar kay aainay toray gi yeh be'pardagi
Ghar se mat niklay , kaho us aaina-e-andaam se
Pyaar dain gay , woh hamain kehtay hain , pehlay jaanay do
Main to muflis hi bhala aisay kisi ikraam se
Qissa-e-ulfat main zikar-e-sar'kushi , aasoodgi
Ishaq kay ilzaam tak hai , wasal kay ayaam se
Meray ghar main neem shab hoti hain mehav-e-gutagoo
Wehshtain , tanhiyaan , deewar-o-dar se baam se
Mai na ho to aansoo'on se bhar liya kartay hain hum
Kiya bataein , kis qadar uljhan hai khaali jaam se
Baada khwaari ki tawaqo aap se hargiz na thi
Haif zaamil , aap bhi ghabra gaye alaam se
Aao Imran se zara milwaein tum ko , yeh hain woh
Dehar main bad'naam se aur ishq main na'kaam se
No comments:
Post a Comment