Dec 16, 2014

Yeh bhi shayed imtihaan-e-hijar hai



Yaad hai na kuch gumaan-e-hijar hai 
Yeh bhi shayed imtihaan-e-hijar hai 

Woh jo bichra hai to hai jaan par bani 
Haan magar woh hi to jaan-e-hijar hai 

Hai mujhay wehshat jo apnay aap se 
Rog kab hai , yeh to shaam-e-hijar hai 

Neem shab karni hain giriya'zaariyaan 
Aao deewano ! Azaan-e-hijar hai 

Woh to meray chaar soo hai jalwa gar 
Kiyon bhala mujh ko gumaan-e-hijar hai 

Dard le lo ! ashk le lo ! Khwaab le lo 
Muft hai sab , yeh dukaan-e-hijar hai 

Zulm yeh hai , jo gawah-e-wasal thi
Ab woh shab raazdaan-e-hijar hai 

Ishq ka qissa wohi hai jaawidaan 
Asal main jo daastaan-e-hijar hai 

Saath Imran kay mana lo shaam-e-gham 
Sar dhuno yaaro biyaan-e-hijar hai


No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...