Dec 16, 2014

Chahye to kaam main laa, chahye nikama kar dy



Chahye to kaam main laa, chahye nikama kar dy

Main tera hoon , Teri marzi mujhay jaisa kar dy

MAin tera beemaar hoon azlon se , na mar jaaon kahin

Ek nazar dekh lay mujh ko mujhay acha kar dy

Tujh se bas itni hai khwaish meray maalik keh

Is kay dil ko main labho doon mujhay aisa kar dy

Jo tera ho zamanay se woh kat jaye ga

Tu to jis shakhs ko chahye tanha kar dy

Aisa noor aye keh duniya mera chehra dekhye

Tu jo palkon ka meray chehray pe saya kar dy

Woh khuda tujh se faqeeron ki to sun leta hai

Ussay kehna keh mujhay ishq main ruswa kar dy

Mujh ko deta hai woh izzat , yeh karam hai us ka

Teray bas main ho agar tu mujhay ruswa kar dy

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...