Diyaar-e-ghair main kaisay tujhay sada detay
Tu mil bhi jaata to tujhay ganwa detay
Tumhi ne hum ko na sunaya apna dukh warna
Dua woh kartay keh hum asmaan ko hila detay
Hamain yeh zoham raha ab keh woh pukaarain gay
Unhain yeh zid thi keh her baar hum sada detay
Woh tera gham tha keh taseer meray lehjay ki
Keh jis ko haal sunaatay ussay rula detay
Tumhain bhulaana hi awal to dastaras main nahin
Jo ikhtayaar bhi hota to kiya bhula detay
Tumhari yaad ne koi jawaab hi na diya
Meray khayal kay aansoo rahay sadaa detay
Sma'aton ko main ta'umar kosta Syed
Woh kuch na kehtay magar hont to hilaa detay

No comments:
Post a Comment