Dec 3, 2014

Ek tera pyaar paa loon bas yahi sapna mera tha


Manzil bhi teri thi aur raasta bhi tera tha 
Ek tera pyaar paa loon bas yahi sapna mera tha 

Aik hum akelay reh gaye , aur poora sansaar tera tha 
Saath saath rehnay ki soch bhi teri thi 

Phir akelay chor jaanay ka khyal bhi tera tha 
Haathon main haath lay kar mujhay hansaanay ki kasam bhi teri thi 

Phir meri aankhon main aansoo'on ka sailaab bhi tera tha 
Hum kiyon yahaan tanha reh gaye , Mera dil sawaal karta hai 

Qismat teri thi par kiya khuda bhi tera tha 
Khuda bola us pe aaitabaar karnay ki ghalti teri thi 

Ussay dost bananay ka khyal bhi tera tha 
Ussay chahnay ki ghalti bhi teri thi 

Ussay apnaanay ka khyal bhi tera tha 
Ussay kiyon gham ho teray jaanay ka ?

Kiya us ne kabhi kaha tha woh sirf tera tha

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...