Dec 3, 2014

Yeh jo dewanay se do chaar nazar aatay hain


Yeh jo dewanay se do chaar nazar aatay hain 
In main kuch saahib-e-israar bhi nazar aatay hain 

Teri mehfil ka bharam rakhtay hain so jaatay hain 
Warna yeh log to be'daar nazar aatay hain 

Door tak koi sitaara hai na koi jugnoo 
Marg-e-umeed kay asaar nazar aatay hain 

Meray daman main shraaron kay siwa kuch bhi nahin 
Aap phoolon kay kharidaar nazar aatay hain 

Kal jissay choo nahin sakti thi farishton ki nazar 
Aaj woh ronq-e-bazaar nazar aatay hain 

Hashar main kon gawahi meri de ga sagar 
Sab tumhaaray hi taraf'daar nazar aatay hain 

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...