Dec 11, 2014

Gham roz roz sehnay ki aadat nahin hamain


Aisa nahin keh tujh se mohabbat nahin hamain 
Gham roz roz sehnay ki aadat nahin hamain 

Her baar teray samnay sar ko jhuka liya 
Aur phir bhi dekh tujh se shikayat nahin hamain 

Tu aaitabar kar , keh tujhay chahtay hain hum 
Teray siwa kisi ki bhi chahat nahin hamain

Hum jaantay hain tu bhi hai tanha hamaray bin  
Auron se poochnay ki zaroorat nahin hamain 

Kaisay rahain gay bin teray ab baat maan lay 
Teray baghair rehnay ki aadat nahin hamian 

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...