Mohabbat jhoot lagti hai mujhay
Aik khokla jazba
Jissay izhaar ki her waqat khwaish ho
Kahi jaanay ki
Sun'nanay ki
Jissay her pal zaroorat ho
"Mujhay tum se mohabbat hai "
Na'jaanay roz kitnay log
IS jumlay ko sun'nanay kay liye be'daar hotay hain
Yeh aisa jhoot hai jis ka sehar
Sadiyon se taari hai
Magar jaana
Mohabbat jab kabhi izhaar ko tarsay
Koi tum se agar keh dy
"Mujhay tum se mohabbat hai "
To us ki baat mat sun'nana
Mohabbat rooh se phootay
Mohabbat aks ban jaye
To phir tum ko yaqeen aye
Keh main ne sach kaha tum se
Mohabbat rooh ban jaye
To phir us ka yaqeen karna
Warna aik jumla koi kitni baar dohraaye
Kahay jaye
Nahin sun'nana
Mohabbat jhoot hai jaana
Agar izhaar ki is ko zaroorat ho
Aik khokla jazba
Jissay izhaar ki her waqat khwaish ho
Kahi jaanay ki
Sun'nanay ki
Jissay her pal zaroorat ho
"Mujhay tum se mohabbat hai "
Na'jaanay roz kitnay log
IS jumlay ko sun'nanay kay liye be'daar hotay hain
Yeh aisa jhoot hai jis ka sehar
Sadiyon se taari hai
Magar jaana
Mohabbat jab kabhi izhaar ko tarsay
Koi tum se agar keh dy
"Mujhay tum se mohabbat hai "
To us ki baat mat sun'nana
Mohabbat rooh se phootay
Mohabbat aks ban jaye
To phir tum ko yaqeen aye
Keh main ne sach kaha tum se
Mohabbat rooh ban jaye
To phir us ka yaqeen karna
Warna aik jumla koi kitni baar dohraaye
Kahay jaye
Nahin sun'nana
Mohabbat jhoot hai jaana
Agar izhaar ki is ko zaroorat ho
No comments:
Post a Comment