Dec 15, 2014

Hum ne maazi ki sab yaadain baich daali hain


Hum ne maazi ki sab yaadain baich daali hain

Nafratain khareed kar mohabbatain baich daali hain

Na guzro ban sanwar kar hamaray samnay se tum

Keh hasrat se jo takti hain , woh aankhain baich daali hain

HAmain awaaz denay se pehlay bas itna soch lena tum

Keh mojon se jo larti thein , woh kashtiyaan baich daali hain

Andhera dekh kar kiyon hairaan ho rahay ho tum

Keh raaton ko jo jalti thein , woh shamain baich daali hain

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...