Suna hai teray shaher main nazool-e-wafa ka mousam
Mohabbat ka sawan aur rang-o-noor ka aalam hota hai
Suna hai wahan dilon ka milan hota hai
Roohon ka wisaal aur hijar ka inkaar hota hai
Wahan zulf bikhray to raat ka aalam
Jo simtay to sawera hota hai
Suna hai ashk jab koi bahaye to
Wahan sawan ka mousam hota hai
Taara jab bhi tootay kahin aasmaan main
Nazak haathon main kash'kol-e-dua hota hai
Suna hai wahan kalaam karti hain mohabbatain
Nafraton ka qatal-e-aam hota hai
Suna hai woh bhi makeen hai teri basti ka
Jo sadiyon se rooh-e-jaan hamari hota hai
US ko salam-e-mohabbat kehna
Jis ki aankh main ashk meray naam ka hota hai
Woh bhi shayed mehsoos karta ho
Dard jo Firaaq main yahaan hota hai
Us ki muskaan ka bhi aalam kuch biyaan ho
Kiya ab bhi ussay dekh kar chaandani ka gumaan hota hai
Suna hai ab bhi woh nazar jhuka kar milta hi
Kahin aankh main us ki pyaar ka rang hota hai
Chalo us basti ki jaanib chaltay hain
Jahan rang-e-qos-o-qaza , aur raqs ishq main hota hai
No comments:
Post a Comment