Dec 14, 2014

Jaanay kiyon woh bheer main tanha lagta hai


Jaanay kiyon woh bheer main tanha lagta hai

Jaisay dasht main koi gulaab tanha khilta hai

Us ki ghazlon ka unwaan hamesha firaaq hota hai

Phir bhi woh harf wasal bar'haa likhta hai

TAqseem jab bhi hoti hai zaat meri tukron main

Woh bhout in'himaak se bikharnay ki sadaa sunta hai

Jab bhi kisi dewanay par waar kartay hain ehal-e-shaher

Sab teer woh apnay seenay pe tanha sehta hai

Ab bhi woh saahil pe kharra lehron ko hasrat se taka karta hai

Jaanay woh kiyon samnadar ko piyaasa likhta hai

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...