Dec 15, 2014

Zikar-e-khuda main gar lazzat nahin aati


Zikar-e-khuda main gar lazzat nahin aati 
Phir to kisi raah se dil ki sakeenat nahin aati 

Sajdon main bhi jo gharq-e-duniya ho 
Aisay moman ko kabhi bishaarat nahin aati 

Bandon ko khuda kay jo takleef detay rahay 
Aisay sarkash ko kabhi hawa-e-jannat nahin aati 

Islaam naam hai hukam-e-Allah-o-Nabi pe mitt jaanay ka 
Woh moman hi kahaan kaamal kabhi ataa'at nahin aati 

Be'bas teray banday zulm ki chaki main piss rahay hain ae Rab-e-Mohammad 
Qalab-e-momin parishaan ho kar mehav-e-iltaja hai keh kiyon teri nusrat nahin aati

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...