Dec 16, 2014

Kis raah se nikal jaaon kuch keh nahin sakti



Be'naam musaafir hoon be'naam safar mera 
Kis raah se nikal jaaon kuch keh nahin sakti 

Be'naam meri manzil , be'naam thikaana hai 
Kis dar pe main ruk jaaon kuch keh nahin sakti 

Is paar to roshni hai sara mera rasta 
Us paar andhera ho kuch keh nahin sakti 

Tinkay ki tarah main bhi jaaon samandar main 
Mil jaye kinaara kuch keh nahin sakti 

Mil jaye gi tabeer meray khwaabon ki aik din 
yeh khwaab bikhar jayein kuch keh nahin sakti

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...