Mujhay roshni ki talab bhi thi
Mujhay manzalon ka pata bhi tha
Mujhay raaston ki kahbar bhi thi
Main bashar jo tha , mera dil bhi tha
Meray dil main rang bakhairti hui
khwaishon ka hajoom bhi tha
Meri zindagi kay khalaon main
kiya tairtay huye khwaab thay
Mujhay maangnay ka sha'oor tha
Meray lab pe harf-e-dua bhi tha
Main bashar jo tha
Mujhay roshni ki talab jo thi
Mujhay raaston ki kahbar to thi
Mujhay manzalon ka gumaan to tha
To nahin phir bhi kaisay samjh liya
Koi aarzoo koi raasta
Koi roshni koi zindagi
Mujhay tujh se barh kay aziz hai
KAbhi is taraf se guzar hua
To nazar bacha kay yeh dekhna
Teray baad jitni basar hui
Issat "Umar" kehna durust hai ?
No comments:
Post a Comment