Dec 21, 2014

Main khud ko rakh kar kahin bhool Jaana chahta hoon


Ajeeb larka hoon khud ko jalaana chahta hoon 
Main khud ko rakh kar kahin bhool Jaana chahta hoon 

Meray naseeb ki khushiyaan bhi kab mili mujh ko 
Bas ab to umar bhar aansoo bahaana chahta hoon 

Na jaanay kitni mohabbat hai gham se mujhay 
Koi bhi dard ho dil main chupaana chahata hoon 

Bahaa bahaa kay yeh aansoo bikhar chuka hoon bhout 
Simat kar apnay aap main ab muskuraana chahata hoon

Jissay ik umar dil main chuppa kay rakha hai 
Woh raaz aaj main sab ko bataana chahata hoon 

Wohi hai yaad jo acha kaha hai logon ne 
Baaqi saray sitam bhool jaana chahata hoon 

Mujhay zamanay ne pathar samjh liya hai magar 
MAin aik larka hoon sab ko bataana chahata hoon 

Jo mujh se rooth chuki hain zamanay ki khushiyaan 
To main bhi un khushiyon se rooth jaana chahata hoon 

Koi to ho jo lagaye mujhay seenay se 
Kisi ko main bhi apnay gham sunaana chahata hoon 

Tu apnay dil kay her ik dar ko khol dy 
MAin dard ban kar teray dil main aana chahata hoon 

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...