MAin aaina tha , woh mera khayaal rakhti thi
MAin toot'ta tha to chun kar sambhaal rakhti thi
Her aik maslay ka hal nikaal rakhti thi
Zaheen thi , mujhay hairat main daal rakhti thi
Main jab bhi tark-e-taluq ki baat karta tha
Woh rokti thi mujhay , kal pe taal rakhti thi
Woh mery dard ko chunti thi apni pooron se
Woh meray waastay khud ko nidhaal rakhti thi
Woh doobnay nahin deti thi dukh kay dariya main
Meray wajood ki naao uchaal rakhti thi
Duaein us ki balaaon ko rok leti thein
woh meray chaar soo haathon ki dhaal rakhti thi
Aik aisi dhun kay na phir kabhi main ne suni
Woh munfarid sa hansi main kamaal rakhti thi
Ussay nadamatein kahan meri gawara thein
Woh meray wastay asaan sawaal rakhti thi
Bichar kay us se main duniya ki thokron main hoon Imran
Woh paas thi to mujhay la'zawaal rakhti thi
No comments:
Post a Comment