Mom ki tarah pighaltay huye dekha us ko
Rut jo badli to badaltay huye dekha us ko
Jaanay kis gham ko chupaanay ki tamana hai ussay
Aaj her baat pe hanstay huye dekha us ko
Woh jo kaanton ko bhi narmi se chua karta tha
Hum ne phoolon ko masaltay huye dekha us ko
NA'jaanay woh dua'on main maangta hai kissay
Haath uth'tay hi sisaktay huye dekha us ko
Phir haath dua kay liye uthaye hum ne
Jab muqadar se ulajtay huye dekha us ko

No comments:
Post a Comment