Dec 11, 2014

Wafa ka woh hamain kuch aisa sila detay hain


Wafa ka woh hamain kuch aisa sila detay hain

Jaisay aik juram ki mujrim ko saza detay hain

Bach kay raha karo in se yeh husan walay hain

Hanstay hansaatay huye zehar pila detay hain

Jin kay baghair hum mar mar kay jiya kartay hain

Woh jab miltay hain to jeenay ki dua detay hain

Yahi bhout hai keh un ko khyaal hai itna

Zakham detay hain to marham bhi laga detay hain

Mila kay aankh kar letay hain qayal woh apna "Mohsin"

Baat kartay hain to lafzon se hara detay hain

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...