Youn kabhi ashkon se haal-e-dil bataa dena
Chilmilaati dhoop main barasti ghataa dikha dena
Mujhay fursat nahin hansanay hansaanay se jaanan
Zakham meri rooh kay mujhay tum dikha dena
Khyaal-e-yaar main kho kar raastay bhool jaata hoon aksar
Mil jaye awara gard to ghar ka pata bata deta hoon
Dariya bhi aakhir samandron ki nazar ho jaatay hain
MAin mar jaaon to nishaan meray sab mitta dena
Silsala woh rafaaqaton ka kaisay badlaa
Kiya hui chahatain raaz-e-ulfat yeh suna dena
Saaqi aa gaye hain teri mehfil main lar'khraatay qadmon
Jo zara aye hosh to jaam aur pila dena
Silaa milta hai wafaon ka parha tha kahin
Mil jaye woh haamil-e-tehreer to bataa dena
No comments:
Post a Comment