Dec 15, 2014

Samnay bitha kay tujhay gulaabon ko istiaara kartay


Aarzoo thi teri zulfon ko sanwara kartay 
Samnay bitha kay tujhay gulaabon ko istiaara kartay

Bar'baadi-e-umar kay asbaab par kiyon kar ghour-o-fikar kartay 
Kiyon na teri gehri aankhon ko nehaara kartay 

Youn to kai aye hain anjuman main teri 
Hum to faqat aik tujhay pehron pukaara kartay

Dil dukhtay hain teray kisi sabab kay tehat
Pagal si tamana hai keh teray ashkon ko sitaara kartay 

Qais itna to yaqeen hai moujza-e-mohabbat pe hamain 
Teri raahon main bichh jaatay jo phoolon ko ishaara kartay 

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...