Dec 13, 2014

Mujhay teri mohabbat ka sahara mil gaya hota


Mujhay teri mohabbat ka sahara mil gaya hota 
Agar toofan nahin aata kinaara mil gaya hota 

Na tha manzoor qismat ko , na thi marzi bahaaron ki 
Nahin to is gulistaan main , kami thi kiya nazaron ki 

Meri nazron ko bhi koi nazara mil gaya hota 
Agar toofan nahin aata kinaara mil gaya hota 

Khushi se apni aankhon ko , main ashkon se bhigo leti
Meray badlay tu hans leti , teray badlay main ro leti

Mujhay ae kaash tera dard sara mil gaya hota 
Agar toofan nahin aata kinaara mil gaya hota 

Mili hai chandani jin ko , yeh un ki apni qismat hai
Mujhay apnay muqadar se , faqat itni shikayat hai 

Mujhay toota hua koi , sitaara mil gaya hota 
Agar toofan nahin aata kinaara mil gaya hota 

Mujhay teri mohabbat ka sahara mil gaya hota 
Agar toofan nahin aata kinaara mil gaya hota


No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...