Yeh doulat bhi lay lo , yeh sohrat bhi lay lo
Bhalay cheen lo mujh se meri jawani
Magar mujh ko lota do bachpan ka sawan
Woh kaaghaz ki kashti woh baarish ka paani
Mohallay ki sab se puraani nishaani
Woh buriya jissay bachay kehtay thay nani
Woh naani ki baaton main pariyon ka daira
Woh chehray ki jhuriyon main sadiyon ka pehra
Bhulaye nahin bhool sakta hai koi
Woh choti se raatain , woh lambi kahaani
Kari dhoop main apnay ghar se nikalna
Woh chiriya woh bulbul woh titli pakarna
Woh guriya ki shaadi pe larna jhagarna
Woh jhoolon se girna aur gir kay sambhalna
Woh peetal kay challon kay pyaaray se tohfay
Woh tooti hui chooriyon ki nishaani
Woh kaaghaz ki kashti woh baarish ka paani
No comments:
Post a Comment