Dec 15, 2014

Na jaanay kab loat aye woh dil ka bhoola panchi


MAin raat kay parday par ik naqsh banaata hoon 
Phir waqat-e-fajar aap ussay mitaata hoon 

Na jaanay kab loat aye woh dil ka bhoola panchi
Aangan ki tooti kamand pe her shaam aik diya jalaata hoon 

Meri talwarain zang alood hain main madad-e-ghaib ka mutlaashi hoon 
Dekh meri saadgi-e-dil kaisay kaisay butt banaata hoon

Aik bharosa tha teri cahhat par woh bhi chakna choor hua 
Chun kar in tukron ko ik naya lafz banaata hoon 

Qasmain-e-waday ehad-e-paymaan sab baatain hain puraani si 
Kuch dair to tehro kuch naya harf dhoond kay laata hoon

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...