Dec 21, 2014

Sookh jaatay hain woh dariya jo tehar jaatay hain


Shaam kay saaye jo pairron se utar jaatay hain 
Hum bhi chaltay huye phir teray nagar jaatay hain 

Loat kar aatay hain jab raat gaye hum ghar ko 
Paaon dehleez pe rakhtay hain to mar jaatay hain 

Baith jaatay hain yahin ajnabi pairron main kahin 
YEh prinday bhi kahan loat kay ghar jaatay hain 

Door tak phaila hua had-e-nazar sehraa hai 
Is kay rastay kissay maloom kidhar jaatay hain 

Roz tarkeeb banaata hoon ussay paanay ki 
Roz bekaar meray saray hunar jaatay hain 

Jo bhi ho tum se bicharna hai magar teray liye 
Tu jahaan kehta hai chal hum bhi udhar jaatay hain 

Kis qadar sehmay huye log hain is basti main 
Apna saaya bhi nazar aaye to dar jaatay hain 

Saans qayem hain to phir chaltay raho tum bhi "Aqeel"
Sookh jaatay hain woh dariya jo tehar jaatay hain

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...