Dec 16, 2014

Suna hai raah teri subho shaam takta hai


Suna hai kho kay hamain woh udaas rehta hai 
Ajeeb aankh main us ki haraas rehta hai 

Woh chonk jaata hai sun kar zara si aahat ko
Hamesha mann main liye koi aas rehta hai 

Suna hai khud ussay dasti thi us ki bad'ehadi 
So is liye ussay waadon ka paas rehta hai 

Woh poochta hai bahaaron se teri aamand ka 
Woh lamha lamha bana prem daas rehta hai 

Suna hai raah teri subho shaam takta hai 
Suna hai is ko tera dard raas rehta hai

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...