Aaj ghamgeen nahin hairaan hain hum
Aaj ki raat bhout bojhal hai
Koi batlaao keh yeh kaisay kattay
Khushk hain aankhon kay chashmay saaray
Tishna samaani ki had hoti hai
Ab kisi diyhaan ka saaya bhi
Khaana-e-veeraani ki had hoti hai
Hum ne pehlay suna tha keh yeh waqat
taaray gin lo to guzar jaata hai
Her woh lamha jo tehar jaanay ko ho
Baat kar lo to bikhar jaata hai
Aaj ghameen nahin hairaan hain hum
Raaz is dard ka khulta hi nahin
Aisi ujjri hai guzar'gaah-e-khayal
Kaisi manzil , koi rasta hi nahin
Aaj ki raat guzarain kaisay ?
Subha tak jaanay kiya kiya ho jaye
Jis se ehsaas ki lo larzaan hai
Woh tasawur na parishaan ho jaye
No comments:
Post a Comment