Dec 20, 2014

Teray tabsaray hain be'khabar meri dastaan-e-hayat se


Teray tabsaray hain be'khabar meri dastaan-e-hayat se

tu keh raha hai dil jissay woh meri khwaishon ka mizaar hai

Tera shukriya ae tabeeb-e-jaan yeh khaloos apni jaga magar

Teri masihaai bhi kiya karay mera dard hi be'shumaar hai

Meray raaston main jo aa gaya meray kaaflay ko jo kha gaya

Woh toofaan to kab ka guzar gaya par dil main ab tak ghubaar hai

Ae meharbaan dost sun meri mushkalon ko , samjh keh main

Teri mohabbaton ka kiya karoon kissay dil pe ab ikhtiyaar hai

Naye mousamon ko bulaao mat keh mujhay kushbo'on ki talab nahin

Meri raah rehnay do khaar khaar meray liye to yahi bahaar hai

Jo nafraton se jhulas gaya ussay dil se saaray duaein do

Par us sitam zada ka kiya karain jo mohabbaton ka shikaar hai

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...