Aik shakhs mousam-e-khizaan main khilay gulaab sa hai
Woh kuch un'kahay sawalon kay jawaab sa hai
Samait lena bikhray huye sheraazay ko tum
Keh harf jarf kitaab-e-ishq ka nayaab sa hai
Badlay huye lehjay , badlay huye atwaar ki wazahat zaroori to nahin
Mousamon ka yaksaan rehna bhi to azaab sa hai
Be'noor ujaalon ne bhi aankhain kheera kar daalein
Woh chaand asmaan ka tu mehaz saraab sa hai
Hum to qafas-e-mohabbat kay aarzoo'mand rahay Qais
Mili jo rehaai to pal pal Attaab sa hai
No comments:
Post a Comment