Raat ajab aik sapna dekha
Gham'zda koi apna dekha
Tanha akela baitha tha logon ki bheer main
Lab khamosh magar neer bahaana dekha
Aankhon main udaasi liye bas magar tha
Par dharkan-e-dil ka karaahna dekha
Jo khud ronaq-e-chaman raha bahaaron main
Aaj titliyon ka bhi ussat sataana dekha
Toot kar bikhar jayein aisi chot khaani thi us ne
Dard kay hajoom main bhi us ka muskuraana dekha
Lout aye woh harjaai jab ho chuki shaam zindagi ki
Khaali haath tha daaman us ka phailaana dekha
Zakhmon se choor tha dekh kar haal mehboob ka
Pachtawey ki aag main jalta na aisa dewana dekha
Dil paseej jaata shayed us mehboob-e-harjaai ka
Par guzray barson ka hisaab maangna dekha
Yeh sapna tha haqeeqat thi ya dard main dooba waqat tha
Subha ki thandi saba main khud ka neer bahaana dekha
No comments:
Post a Comment