Jan 31, 2015

Hum thay tumharay saath koi teesra na tha


Hum thay tumharay saath koi teesra na tha
Aisa haseen din kahin dekha sunna na tha

Aankhon main us ki tair rahay thay haya kay rang
PAlkein utha kay meri taraf dekha na tha

Us kay to ang ang main jalnay lagay diye
Jaadu hai meray haath main mujh ko pata na tha

Us kay badan ki la'o se thi kamray main roshni
Khirrki main chaand , taaq main koi diya na tha

Roya kuch is tarah meray shaanay se lag kay woh
Aisay laga keh jaisay kabhi be'wafa na tha

HAi ishq aik rog mohabbat azaab hai
Ik roz yeh khraab karein gay kaha na tha

Ae dil wahan pe had koi rehti bhi kis tarah
Ruknay ko keh raha tha magar rokta na tha

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...