Jan 31, 2015

Main jab bhi yaad ki shammain jala kay rakhta hoon


Main jab bhi yaad ki shammain jala kay rakhta hoon
Yeh meri zid hai keh samnay hawa kay rakhta hoon

Main toot sakta hoon lakin main jhuk nahin sakta
Shakista zaat main pehlu ana ka rakhta hoon

Woh baad'baan hai agar kashti-e-mohabbat ka
Main baad'baan se rishtay hawa kay rakhta hoon

Tumharay khat main mehaktay gulaab ki maanind
Woh aur khiltay hain , jitna chupa kay rakhta hoon

Main jaanta hoon keh aana nahin kisi ne
Magar main darwaazy pe nazrein jamaa kay rakhta hoon

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...