Feb 24, 2015

Agar Aanso baha detay to un kay paas kya rehta


Agar Aanso baha detay to un kay paas kya rehta 
Woh hum ko hosla detay to un kay paas kya rehta 

Nishaan hum ko nahin milta koi un tak ponchanay ka 
Hamein apna pata detay to un kay paas kya rehta

Woh is main tha keh jis kay dam par woh zinda hai 
Hum un ka dil dukha detay to un kay paas kya rehta 

Musafir saray phool khila kay apni raah chal detay 
Shajar tehni jhuka detay to un kay paas kya rehta 

Hamari yaadon ne hi ab tak unhain abaad rakha hai
Woh hum ko bhi bhula detay to un kay paas kya rehta

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...