Umar ki sari thakan laad kay ghar jaata hoon 
Raat bistar pe main sota nahin mar jaata hoon 
Aksar auqaat bharay shaher kay san'natay main 
Is qadar zor se hansta hoon keh dar jaata hoon 
Meray aanay ki khabar sirf diya rakhta hai 
Main hawaon ki tarah aa kay guzar jaata hoon 
Simta rehta hoon bhout halqa-e-ehbaab main main 
Chaar diwaari main aatay hi bikhar jaata hoon 
Main ne apnay khilaaf khud hi gawahi di hai 
Agar woh teray haq main nahin hai to mukar jaata hoon 
 
No comments:
Post a Comment