Feb 3, 2015

Apnay hi shaher kay log satanay lagay


Apnay hi shaher kay log satanay lagay
Yaar apni mehfil se uth kar janay lagay

JAb bhi izhaar-e-jazbaat chaha main ne
Log apna apna dard sunaa'nay lagay

Hamaray naam se chalti thi jin ki saansein kabhi
Aaj wohi hum se nazrein churaanay lagay

Kiya khabar thi keh ik pal main bichar jaye ga woh
Jissay apna bananay main zamanay lagay

Kya karoon nazron se hat'taa hi nahin woh manzar
Jo haath chura kar mera woh janay lagay

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...