Feb 3, 2015

Hasrat bhari nigahon ko Aaraam tak nahin


Hasrat bhari nigahon ko Aaraam tak nahin
Woh youn badal gaya keh ab salaam tak nahin

Jis ki talab  main zindagi apni guzaar di
US be'wafa kay lab pe mera naam tak nahin

Jo keh gaye thay shaam ko baithain gay aaj phir
Kuch saal ho gaye koi paighaam tak nahin

Madfoon hoon teray hijar ki ik aisi qabar main
Kutbay pe jis kay aaj koi naam tak nahin

Be'ikhtiyaar uth'tay hain meray qadam udhar
Haalan keh us gali main mujhay kaam tak nahin

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...