Dekho kabhi to meri taraf khush'dili kay saath
Kya farz hai keh baat karo be'rukhi kay saath
Hans hans kay jee raha hoon gham-e-zindagi kay saath
Tu hosla to dekh meri be'basi kay saath
Jeena khushi kay saath , na marna khushi kay saath
Kya khoob zehmatein hain yeh dil ki lagi kay saath
Gham se nijaat payein to payein woh kis tarah
YEh gham laga huwa hai her ik admi kay saath
Khud se bhi Aashna hoon khuda Aashna bhi hoon
Ek gham'rahi ka daagh hai is Aagahi kay saath
Uzair tumhain sataaish-e-duniya ki fikar hai
Laazim hai shart-e-daad bhi kiya shairy kay saath
No comments:
Post a Comment