Diyaar-e-dil ki raat main chragh sa jala gaya
Mila nahin to kya huwa woh shakal to dikha gaya
Judaiyon kay zakham dard-e-zindagi ne bhar diye
Tujhay bhi neend aa gayi mujhay bhi sabar aa gaya
Yeh subha ki safediyaan yeh dopehar ki zardiyan
Ab aainay main dekhta hoon main kahan chala gaya
Pukarti hain fursatein kahan gayi woh suhbaten
Zameen nigal gayi unhain ya Aasman kha gaya
Woh dosti to kahir ab naseeb-e-dushman huwi
Woh choti choti ranjishon ka lutf bhi chala gaya
Yeh kis khushi ki reet par ghamon ko neend aa gayi
Woh lehar kis taraf gayi yeh main kahan sama gaya
Gaye dino ki laash par paray raho gay kab talak
Utho amal kashon utho keh aftaab sar pe aa gaya
No comments:
Post a Comment