Feb 11, 2015

Itna qareeb aa keh jee bhar kay dekh loon


Itna qareeb aa keh jee bhar kay dekh loon
Shayed keh phir milo to yeh zouq-e-nazara na ho

Youn utro meray dil main Aankhon kay rastay se
Mujh main samaa jaao , nazar ko khabar na ho

Muddat hui milay nahin ik doosray se hum
Aaj sab gilay mitta do , koi shikwa phir na ho

Meray samnay baithay rahao , main dekhta rahon
Ruk jaye kaash waqat , tulo-e-sehar na ho

KAr lo mujh se wada meray ho , bas meray
JAb saath mera do to , zamanay ka dar na ho

Aaye ho ab keh jo tum to aik shab qayaam kar lo 
Shayed keh phir guzar ho to mera ghar na ho 

Mumkin hai keh tarteeb-e-waqat main aisa bhi lamha aaye 
Keh dastak ko tera haath uthay aur mera dar na ho 


No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...