Meray liye to dil tera shayed beqaraar nahin hota 
Aa jaa keh ab mujh se aur intizaar nahin hota 
Subha ka wada tha ab shaam bhi dhalnay lagi 
Phir deti ho ilzaam keh tumhain aetabar nahin hota 
Ab teri zulfon kay saaye main sona hai mujhay 
Tum kehti thi bhout keh tum se inkaar nahin hota 
Le jaata kahin door tumhain main is duniya se 
Roz-e-mehshar main agar yeh jurm shumaar nahin hota 
Kon kehta hai keh mujhay pyaar nahin tum se 
Pyaar to itna hai mujhay keh shumaar nahin hota 
Itnay diye zakham mujhay is duniya ne 
Keh ab jo bhi lagay chot yeh dil sogwaar nahin hota 
No comments:
Post a Comment