Jab mandron pe chaand kay ham'raah
Bujhti jaati hain aakhri shamein
Kya teray wastay nahin tarasta
Uss ka majboor muz'mahil chehra
Kiya teray wastay nahin jageen
Uss ki be'maar reham dil aankhein
Kya tujhay yeh khyal hai keh ussay
Apnay lotnay ka koi ranj nahin
Uss ne dekhi hai din ki khoon khwaari
Uss pe guzri hai shab ki ayyaari
Phir bhi teri tarah woh be'chari
Sari duniya se shikwa sanj nahin
Zindabaad ae aaina-e-jazba-e-ishq
MArhaba ae shikwa-e-khuddami
Uss ki qurbat se tujh ko phool milay
Zindagi kay naye asool milay
Teri ulfat se kya mila us ko
Zehmatein , iztraab bad'naami
No comments:
Post a Comment