Kalaam karti nahin , bolti bhi jaati hai
Teri nazar ko yeh kaisi zubaan aati hai
KAbhi kabhi mujhay pehchaanti nahin woh aankh
Kabhi chragh se chaaron taraf jalaati hai
Ajab tazaad main palti hai teray wasal ki yaad
Keh ik aag bujhaati hai ik lagaati hai
MAin us ko dekhta rehta hoon raat dhalnay tak
Jo chaandani teri galiyon se ho kay aati hai
Yeh roshni bhi Ataa hai teri mohabbat ki
Jo meri rooh kay manzar mujhay dikhaati hai
Umeed-e-wasal bhi hai kaanch ki choori
Keh pai'maanay main kai baar toot jaati hai
No comments:
Post a Comment